Monday, November 2, 2009

Ek or kursi tod mantri ka bayan "pakistan ka muhtod javab denge"

Ham ye kar denge vo kar denge aatankvad ka khatma kar denge . aaj desh ke home minister ka bayan aaya ki pakistan ke atankvad ka ham muhentod javab denge. 12-13 sal sarkar chalane ke bad mantri ji ne javab dene ki sochi hai . pakistan ko hamare mantri salah dete hain ki atankvad ko roko .pata nahin kya sharab pi hindustan ki sarkar chalate hein aare desh mein itne aatanki pakad kar kyon batha rakhe hain .kasab or afjal ki phansi kyon rok rakhi hai .kehtein hain ki rastrapati ji ke pas mamle ki file bhej rakhi hai.Ab rastrapati ji soch rahin hain afjal ko phansi dein ki nahin ,Bjp Vale kahtein hain ki delhi ki CM ne sign nahin kiye nahin to phansi ho jati,Rastrpati kahan thi jab sansad par hamla hua ,desh mein bum blast hue, na jane kitni jane en dono atankvadiyoun ne li. Par ab apne yahan mamla dabakar pakistan ko salah detain hain . Afjal Guru To Bharat Sarkar ka damad hai bhai use kyon phansi di jaye, Kasab in kursitod mantrio ka khas lagta hai use pakadne ka dhong karke sasural jasi suvidha de rahin hain. Kitna bhi kaho bhai ye unko phansi nahin denge unki khatir karenge . Kya bat hai Bharat sarkar sadsad par hamle mein sahid hue javano ki jan ka achha sila de rahi hai. Main to kehta huin afjal se pehle in sare kursiTod mantrio ko Bijli ke jhatke dene chahiyan. Ye hindustan ko sharminda kar rahen hain .
"kalam ne ye aag Desh ke ek mantri ke bayan par ugli hai "

No comments:

Post a Comment