Sunday, November 1, 2009

Jalti chita se shav nikalne phaunchi police

Mata Pita ne beti ko pala ,phadaye , shadi ki tayyari ki par pata chalta hai ki beti ne
shadi ke ek din pehle aatam hatya kar li vo bhi aapne premi ke sath .kya es din ke liye pala
tha beti ko ? nahin.sarkar premi jodo ke sath ho jati hai, unhein suraksha deti hai,sarkar ye nahin janti ki
pyar kya hota hai . ladke or ladki ke shav gaun valo ne aagni ke havale kar diya .Phirhamare desh ki jagruk aur majbut pulis pahunchi phair brigade ki gadi leke chitaon mein
se adhjale shav nikal kar tehkikat karne.par jab gaun samne kdha ho to kiski okat hai jalti
chita se shav nikale .gaun ki bigdi hui oladoen ne gaun ko ijjat mitti me milaye or sarkar
uski tehkikat karegi kya tehkikat karegi .jab wo gaun mein peda hue to sarkar aai thi kya?
nahin. jab ek gaun ke ladka ladki premi bane to sarkar aai ? nahin . jab mare to sarkar kya
karegi?.jalti chita se shav nikalne phaunchi pulis .Kya Bat hai .Kyonki ye Hindustan
hai,Yahain loktantra chalta hai. pulis ne mamla darj kiya parijano ke khilaph kyonki unhone
dono ko aatam hatya ke liye majbur kiya . kya aisa ho sakta hai mata pita aulad ko aatam
hatya karne ke liye peda kartein hein ?nahin .aaj unke mata pita kanun ki najroin me unke
katil hain.kya bat hai .Kyonki ye Hindustan hai,Yahain loktantra chalta hai.

"Ye Kalam Haryana ke jind jile ki ghatna par boli hai"

No comments:

Post a Comment